A Hard Hitting Poem by Amitabh Bachchan

Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal,

Tu Kis Liye Hataash Hai,

Tu Chal Tere Wajood Ki,

Samay Ko Bhi Talaash Hai.

Jo Tujh Se Lipti Bediyaan,

Samajh Na Inko Wastra Tu,

Yeh Bediyaan Pighaal Ke,

Bana Le In Ko Shastra Tu,

Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal,

Tu Kis Liye Hataash Hai,

Tu Chal Tere Wajood Ki,

Samay Ko Bhi Talaash Hai.

Charitra Jab Pavitra Hai,

To Kyu Hai Yeh Dasha Teri,

Yeh Paapiyon Ko Haq Nahi,

Ke Le Pareeksha Teri,

Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal,

Tu Kis Liye Hataash Hai,

Tu Chal Tere Wajood Ki,

Samay Ko Bhi Talaash Hai.

Jalaa Ke Bhasm Kar Use,

Jo Kroorta Ka Jaal Hai,

Tu Aarti Ki Lau Nahi,

Tu Krodh Ki Mashaal Hai,

Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal,

Tu Kis Liye Hataash Hai,

Tu Chal Tere Wajood Ki,

Samay Ko Bhi Talaash Hai.

Chunar Uda Ke Dhwaj Bana,

Gagan Bhi Kapkapaayega,

Agar Teri Chunar Giri,

To Ek Bhukamp Aayega,

Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal,

Tu Kis Liye Hataash Hai,

Tu Chal Tere Wajood Ki,

Samay Ko Bhi Talaash Hai.

* Poem: Tu Chal

* Movie: Pink (2016)

* Starring: Amitabh Bachchan , Tapsee Pannu

* Music Label: Times Music

Comments

Popular posts from this blog

World Health Day 2019

Forbes: India's 100 richest person

Election Code of Conduct